A Little Bit Of Everything!!!

It's only WORDS... ..for words are all I have, to take your heart away!

Thursday, May 05, 2005

EK KHAYAL

Dheemi si zindagi chal rahi hoti hai
Thodi mushkil thodi aasan thodi karkash thodi madhur
Wahi roz ke kam wahi roz ki masti
Thodi si chinta aur thoda sa saroor
Kuch kshan aaram karne ko lekin agar
Main aankh band kar let jaaoon jo zara
Sainkdon khayal umad ate hain man mein
Kya kiya, kya kaha, kaun mila, kya pada
Kabhi kisi bat pe has padti hoon yakayak
Kabhi koi yad rula deti hai ekdum
Kabhi bas kho jati hoon kisi aur hi jag mein
Khud se hi baant leti hoon har khushi har gam
Achanak hi ruk jata hai kisson ka karwan
Aur kuch kshan ke liye sab kuch chup ho jata hai
Kya woh bhi sochta hoga mere bare mein yoon?
Har roz mere dil mein yehi khayal aata hai...

13 Comments:

Post a Comment

<< Home