A Little Bit Of Everything!!!

It's only WORDS... ..for words are all I have, to take your heart away!

Monday, May 02, 2005

Kya Woh Katre Chhalkenge Kabhi?

(All right, this one is a lame attempt at a hindi translation of the previos "Droplet" poem, purely on public demand. But as a warning, please do not expect anything good-it's exam time!! And trust me, translation proved a more difficult job than writing for the first time!)

Kuch katre jeewan ke
Jeewan ke panjon se bachte-bachate
Dard se sani dastanon ko
Apne garbh mein chhupate-chhupate
Har katre ko bhigoye hai rakha
Ek un-sahe un-kahe ehsaas ne
Ek dukh ne jise ab kuch mehsoos hi nahi hota
Dard bhula diya dard ke nirantar aabhas ne
Kuch hai jo is dard ko ubharne nahi deta
Ek wajood tak ka haq nahi milta hai use
Shayad ek nischay hai jo jeewit hai ab tak
Shayad duniya ke riwazon ka lihaaz hai use
Aise hi bahut se bandhan, bahut si deewaron ke
Bawjood satah tak pahunche hain
Door se dekho to nainon ki chamak se lagte hain
Itne gehre andheron se jo guzre hain
Ab tak jeewan bacha hai jinme
Poochhna hai un jeewan ke katron se
Jo aankh ke ek kone main ghar kiye baithe hain
Kya chhalkenge kabhi woh nazron se?

11 Comments:

Post a Comment

<< Home