A Little Bit Of Everything!!!

It's only WORDS... ..for words are all I have, to take your heart away!

Wednesday, April 20, 2005

Ant...

Raste badalte rahe
Panne bhi palat-te rahe
Kitab khatm ho gayi
Kahani ab bhi adhoori hai
Chale bhi hum akele the
Aur aj bhi akele hain
Fark hai to bas itna
Ki aj khud se bhi kuch doori hai
Khwashihon ke aasman pe
Meri nirlaj zaban pe
Kai khwab janme aur toot gaye
Jeewan mein dukh bhi zaroori hai
Amavas sa ek hai theher gaya
Na jane kahan kho seher gaya
Andheron mein bhatak gaye hain is kadar
Ki aankhon mein suraj ab bhi sindoori hai
Baati mein tel khatm hone ko hai
Lau kahin andhere mein khone ko hai
In aakhri lamhon mein khayal aata hai yehi
Ki kya chirag tale ka andhera hi zindagi meri poori hai
Kitab to khatm ho gayi
Par kahani shayad ab bhi adhoori hai...

5 Comments:

Post a Comment

<< Home