A Little Bit Of Everything!!!

It's only WORDS... ..for words are all I have, to take your heart away!

Monday, March 28, 2005

PARCHHAIYAAN...


Yoon to waqt ne badal diye hain rukh hawaon ke
Toofanonke thapedon mein toot chuke hain kai sapne
Dhool ki ek parat si jam gayi hai jazbaaton pe
Kitne paraye se lagne lage hain, jo kabhi the apne

Na hum kabhi ye samajh paye the, ki humsafar woh hue kaise
Na aj ye jante hain ki rahein kab kaise juda hui
Jante hain to hum bas itna, ki shayad woh roshni ek khwab hi thi
Woh mile bhi the andheron mein, chhod bhi gaye is se pehle ki subah hui

Jeewan bhale hi theher gaya, par waqt to daudta rehta hi hai
Ab to dhundli si bhi ho chuki hain, kai raatein kai baatein
Fir bhi yakayak, kai bar, kisi kone se ubhar aate hain woh
Aur fir ek bar bheeg jaati hain, hamari aankhein hamari raatein

Kai bar in badli si gair hawaon ke beech
Ek apni si hawa bhi chal padti hai
Aur lagat hai sab kuch mano kal hi ki bat ho
Yaadon se dhund jab jab chhatti hai

Os ki boondon se naazuk hain woh lamhe
Chhoone ko haath badaoon to gayab woh ho jati hain
Fir ek bar ek khali haath hum kheech lete hain wapis
Fir ek bar labon pe hamare siskiyan aa jati hain

Unki yaadein bhi bas ek bhram hain unki tarah
Kshan bhar ko jeewan mein aati hain, aur jeena bhula jati hain
Yoon to waqt ki hawaon ne badal diye hain rukh
Fir bhi ateet ki kuch parchhaiyan aankhon mein utar hi jati hain...

10 Comments:

Post a Comment

<< Home