A Little Bit Of Everything!!!

It's only WORDS... ..for words are all I have, to take your heart away!

Monday, March 14, 2005

RUKSAT

yadon ke motiyon ko piroye rakha hai...
sapnon ko nazaakat se sanjoye rakha hai

daudte waqt ke kadam rok to nahi sakti magar
uski rahon ko in aansuon se bhigoye rakha hai

muthi mein in yadon ko band kar lena chahti hoon main
do unglion mein ek sagar, sama lena chahti hoon main

chahton ke is umadte sagar ko ab tak to bandhe rakha hai
sisakti saanson ke shor ko hansi mein dabaye rakha hai

kehne ko to baatein bahut hain magar, alvida kehne ko shabd nahi
shabdon ki shayad zaroorat bhi nahin, ehsaason ko ashkon mein duboye rakha hai

daudte waqt ke kadam rok to nahi sakti magar
uski rahon ko in aansuon se bhigoye rakha hai





2 Comments:

  • At Tuesday, March 15, 2005 6:07:00 PM, Blogger Ravi Dixit said…

    rukhsat is quite good...
    mujhe sirf ek baat nahin samajh aati ki tum log itna soonch kaise lete ho...
    main soonchta hoon to dil dhadkan se aage badh hi nahin paata hoon aur kya bakwass soonchta hoon...

    daudte waqt ke kadam rok to nahi sakti magar
    uski rahon ko in aansuon se bhigoye rakha hai


    kya lively expression hai feelings ka... kiddo mujhe yeh batao ki yeh feelings tum feel karke likhti ho ya phir soonch kar likh deti ho...
    main soonchta hoon to koi gaana yaad aane lagta hai... original nikalta hi nahin hai.. :(

    kehne ko to baatein bahut hain magar, alvida kehne ko shabd nahi would be my favourite
    ruksat to bahut great hain magar, kitni yeh kehne ko shabd nahi
    :):):)

      |
  • At Wednesday, March 23, 2005 11:13:00 AM, Blogger night in shining armour said…

    @ravi & Envisager
    your poem reminds me of these lines...

    waqt-e-rukhsat alvida ka lafs kehne ke liye,
    woh tere sookhe labhon ka thartharana yaad hai....


    sher-o-shayari ke sisile mein hum bhai shamil hone ki arzoo rakhte hain.
    Koi shayari ka shokeen (ravi tum to ho hi) mila to dil ke gulistan mein bahaar ayee hai...

      |

Post a Comment

<< Home