KYA KOI SUNEGA???
*****Some days back I spent a lot of time browsing through lots of stuff on the condition of women the world over, women atrocities and stuff like that...The research brought to my knowledge some atrocious incidents, gory pics, and many painful stories...Work kept me too busy then to be able to reflect, but after it was all over...I guess some of that pain had left a few burning thoughts in my mind, and when I put pen to paper...these words just came out..i'm not sure if they make too much sense...and ya, it may sound different and wierd coming from me, but then this blog is supposed to be a little bit of everything right ;)
So tell me Ted, if u expected this from me...and Raja, this one doesnt rhyme :P **********
Sargam ke bahaav se door
Mehekte hue har khwab se door
Jeewit har ehsaas se door
Mrityu ke prabhav se door
Har subah har saanjh se door
Roshni ke failaav se door
Asha ke ehsaas se door
Kshitij ke jhukaav se door
Vasna ki gehraiyon se
Dard ki parchhaiyon se
Sannate ke shor ko cheerti
Andhere ke garbh ko gherti
Atma ko sparsh karne wali
Bhayavah ko adarsh samajhne wali
Dehshat mein lipti ek aahat
Rooh ko bhedti ek sansanahat
Aisi ek cheekh nikalti hai be-awaz
Par kya koi sunega?
So tell me Ted, if u expected this from me...and Raja, this one doesnt rhyme :P **********
Sargam ke bahaav se door
Mehekte hue har khwab se door
Jeewit har ehsaas se door
Mrityu ke prabhav se door
Har subah har saanjh se door
Roshni ke failaav se door
Asha ke ehsaas se door
Kshitij ke jhukaav se door
Vasna ki gehraiyon se
Dard ki parchhaiyon se
Sannate ke shor ko cheerti
Andhere ke garbh ko gherti
Atma ko sparsh karne wali
Bhayavah ko adarsh samajhne wali
Dehshat mein lipti ek aahat
Rooh ko bhedti ek sansanahat
Aisi ek cheekh nikalti hai be-awaz
Par kya koi sunega?
5 Comments:
At Monday, March 14, 2005 9:42:00 PM, Raja said…
I won't listen, for sure. Let the wannabe gods do that.
|At Tuesday, March 15, 2005 8:13:00 AM, BD said…
|Sargam ke bahaav se door
Mehekte hue har khwab se door
Jeewit har ehsaas se door
Mrityu ke prabhav se door
Har subah har saanjh se door
Roshni ke failaav se door
Asha ke ehsaas se door
Kshitij ke jhukaav se door
Arey itni door se cheekhogi to kaun sun payega? [:D]
At Tuesday, March 15, 2005 3:59:00 PM, Naveen said…
hey.. u could become the editor of some mag. in iitd..
|btw: why dont u put up some tag board in ur site..
dont want to go to comment page everytime..
At Saturday, March 19, 2005 1:21:00 PM, Phoenix said…
@goodwill hunting
|raz to har cheez mein hote hain kai chhupe
dikhe ya na dikhe ye to nazar nazar ki bat hai
kuch dard aise hote hain jo dikhkar bhi nahi dikhte
aur kuch cheekhein bina awaz ke hi sunayi de jat hain
bas sunne ke liye kan nahi dil ki zaroorat hai
ab suna jaye ya nahi, ye to aapke jazbaat hain
At Monday, March 21, 2005 8:16:00 PM, Phoenix said…
@goodwill hunting/banner
|jaan pehchaan to manne ki bat hai dost
kahin ek pal mein ho jati hai, aur kabhi salon mein nahi hoti
dard ke rishte magar kisi jan pehchan ke mohtaj nahi hote
warna ek anjan ke dard pe main kabhi na roti
dil ke ye zakhm yoon to hum nahi palte
lekin aadat si ho gayi hai auron ke dard sambhalte
isliye kai bar woh dard shabdon mein utar paate hain
siskiyan wahan nikalti hain, hum samajh jate hain
aapka dil bhi shayad chahta hai kuch kehna
yaa fir aap khud hi chahte hain kisi aur ke dil mein rehna
jo bhi hai, yad rakhiye gam baantne se hi kam hota hai
aakhir dost hote hi isliye hain, kahiye, hai na?
Post a Comment
<< Home