A Little Bit Of Everything!!!

It's only WORDS... ..for words are all I have, to take your heart away!

Thursday, June 02, 2005

Jhilmil

Jhilmil si ek ladki
Hawa ke sang-sang lehrati si
Kuch-kuch naraz zindagi se
Aur kuch-kuch zindagi pe muskurati si

Kinare ki lehron si uth-ti bikharti
Nav ke jaise dagmagati si
Andhere mein pani ke kinare kahin
Jugno-on ke sang jagmagati si

Khayalon mein khokar laton ko apni
Kabhi suljhati kabhi uljhati si
Nazakat se zulfon ko jhatak fir apni
Dheeme se palkein jhukati si

Chanchal si nazrein has padein jab achanak
Us hasi ko haya se fir chhupati si
Jo naraz ho to aankhen failakar
gusse se moonh fulati si

Kabhi lafz ke sahare choo leti dil ko
Kabhi nazron se hi dastanein sunati si
Kabhi mushkilon se na darne wali
Andhere mein masomiyat se ghabrati si

Jhilmil si woh ek ladki
Parde ke peechhe sharmati si
Ek pal ko nazar milake mujhse
Nazar ke sath dil bhi churati thi.

7 Comments:

Post a Comment

<< Home