FINALLY, I'M IN LOVE!
MUJHE MOHABBAT HO GAYI HAI...
Chaha to bahut is dil se chahat karwana
kai bar koshish bhi ki, par dil na mana
ishq ke naam se hi ishq karte the abtak
par ishq ka matlab aj pehli bar jana
khayalon ki ashiqui hi diwangi bahut thi
pehle se hi pagal kehta tha mujhe zamana
mujhe lagta tha mohabbat cheez mere bas ki nahi
kalpanaon ke sahare hi gate the dil ka tarana
kabhi zamane se darte tha, kabhi khud hi se khaufnama the
na jane kaisa woh dar tha-andekha, anjaana
par sach poochho to talash thi humko
us ek dil ki, jis se mumkin ho dil lagana
Woh chehra jo dekhte hi aankhon mein sama jaye
woh nazren jinhe dekhte hi rooh tak chahe unko pana
is kashish is kasak ko dhoondna bahut chaha
par ab tak kahin nahi mila tha ye khazana
Aj magar ek nazar se aisi takrayi nazar
ki ab mumkin hi nahi lagta us nazar ko bhula pana
aj us dil mein jhanka to laga
haan isi dil ke kisi kone mein mujhe hai samana
haan aj mujhe mohabbat ho gayi hai doston
aj maine jeene ka sahi matlab hai jana

9 Comments:
At Wednesday, May 18, 2005 8:55:00 PM, Anand said…
Pyaar karne wale kabhi zamaane se darte nahi
|Haste hue sunaate hain sabko apne dil ka fasana
Pyaar, Ishq aur Mohabbat....kuch to hai in sab mein
jo poojta hai inko saara zamaana
Lekin jiske dil mein ishq ki aag lagi hai kabhi
usi ne in ka asli matlab hai jaana
Chahat ki chah se hi pyaar hota nahi kabhi
Pyaar to maange kisi se dil ka lagana
Pyaar woh jaam hai jiski har boond ke liye
aashiq doondhe koi na koi bahaana
Pyaar woh tap hai jiski aag mein jalte hue bhi
khush hota hai woh jiska dil hua hai deewana
Pyaar woh andhera hai jismein apne dil ke kono se bhi
us kisi ki parchhai ko mushkil ho mitana
Nazar se nazar mili aur pyaar ho gaya!
Lagta hai tumne pyaar ka sahi matlab hi nahin jaana
Shayad jis cheez ko tum pyaar samajh baithi,
khalal ke naam Ghalib ne us ko pehchaana
At Wednesday, May 18, 2005 8:55:00 PM, Anand said…
Zindagi ek safar hai suhaana,
|yahan kal kya ho kisne haana?
At Wednesday, May 18, 2005 8:56:00 PM, Anand said…
Yeh pyaar koi maggi ki noodles nahin,
|do minute ka ubal aaya, aur dil hua deewana
At Thursday, May 19, 2005 2:09:00 AM, Anonymous said…
Its up to you to take it as a complement or critique, but this poem sounds a lot like the prologue to a jagjit singh ghazal.
|At Thursday, May 19, 2005 1:07:00 PM, Anand said…
@Prad: one more person spending her time on something as stupid as another person..
|A new definition to love you've given there, Pradyot.... A really new definition
P.S> Still, I agree with your definition
At Thursday, May 19, 2005 1:17:00 PM, Prasad Narulkar said…
LOVE IS ALL AROUND YOU AND SOO THE FEELIN GROWS...!!
|;-)
At Friday, May 20, 2005 9:10:00 AM, Anonymous said…
achchi poem hai.... lekin "The Answer" was also on similar theme.
|ab, ya to yeh utna achcha nahin hai ya phir mujhe samajh nahi aaya achchi tarah!
At Friday, May 20, 2005 11:49:00 AM, Anand said…
This comment has been removed by a blog administrator.
|At Friday, May 20, 2005 6:35:00 PM, Phoenix said…
@Andy, lovely poem...certainly better than mine, ask anyone!
|u have no right to pull away my fans like that :P
just kiddin
and ya, dont delete comments!
@Anon
how is this poem's theme similar to my answer, i didnt get it!
@the other anon
thanx, but why not the gazal itself, why just the prologue :P
:D
kiddin again
@prad and banner
hmmmmmmmmmmmmmmm
Post a Comment
<< Home